bazar-e-ka.inat men ye faisla hua
yaran-e-ḳhush-ada ho tamasḳhur rava hua
bijli kaḌak rahi thi ajab ehtimam se
bachcha dua.en maang raha tha Dara hua
vahshat nahin junun nahin phir bhi iztirab
nau-varidan-e-ishq hua so to kya hua
aa.i thi dasht-e-qais men rusva hui chali
avargi ke saath bhi kitna bura hava
main shor karne vaale qabile ka fard tha
par bolta nahin tha jabhi to ḳhuda hua
mahaul ḳhush-gavar hava bhi thi taza-dam
ik phuul dast-e-shaḳh pe naghma-sara hua
teri hi guftugu se kiya paida ik ḳhayal
phir sher kahne lag gaya lahja naya hua
kal raat ma.arka tha ajab darmiyan ka
meri to yaar ḳhair hai duniya ka kya hua
Leave a Reply