bayan-e-dard ko kis husn se tamam kiya
miri zaban se ziyada nazar ne kaam kiya
us astan pe bashar kya mala.ika hain nisar
miri jabin ne jise sajda-gah-e-am kiya
talash-e-dost ik amr-e-muhal tha lekin
ye vaqi.a hai ki zauq-e-amal ne kaam kiya
unhen dila ke taghaful-shi.ariyon ki qasam
ik ah-e-sard bhari aur gila tamam kiya
Leave a Reply