yaar ibtida-e-ishq se be-zar hi raha
bedard dil ke dar piye azar hi raha
jis din se dost rakhta huun us ko hijab-e-husn
apna hamesha dushman-e-didar hi raha
ye ishq-e-parda-dar na chhupaya chhupa daregh
siita hamesha main lab-e-izhar hi raha
qaid-e-farang-e-zulf na kafir ko ho nasib
jo vaan phansa hamesha giraftar hi raha
jan-bakhsh tha jahan ka masiha-e-lab tira
lekin main us ke daur men bimar hi raha
gar qatl-e-be-gunah tha manzur yaar ko
marne pe apne main bhi to tayyar hi raha
dauran-e-lutf main tire ai mubhvis-navaz
mahrum vasl se ye gunahgar hi raha
‘hasrat’ hamesha us ki shab-e-intizar men
juun tala-e-raqib main bedar hi raha
Leave a Reply