
Jameeluddin Aali
dil-e-ashufta pe ilzam ka.i yaad aa.e
jab tira zikr chhiḌa naam ka.i yaad aa.e
tujh se chhuT kar bhi guzarni thi so guzri lekin
lamha lamha sahar o shaam ka.i yaad aa.e
haa.e nau-umr adibon ka ye andaz-e-bayan
apne maktub tire naam ka.i yaad aa.e
aaj tak mil na saka apni tabahi ka suragh
yuun tire naama o paigham ka.i yaad aa.e
kuchh na tha yaad ba-juz-kar-e-mohabbat ik umr
vo jo bigḌa hai to ab kaam ka.i yaad aa.e
ḳhud jo lab-tishna the jab tak to koi yaad na tha
pyaas bujhte hi tahi-jam ka.i yaad aa.e

Leave a Reply