naqsh-e-dil hai sitam judai ka
shauq phir kis ko ashnai ka
chakhte hain ab maza judai ka
ye natija hai ashnai ka
un ke dil ki kudurat aur badhi
zikr kijiye agar safai ka
dekh to sang-e-astan pe tire
hai nishan kis ki jabha-sai ka
tere dar ka gada jo hai ai dost
aish karta hai badshai ka
dukhtar-e-raz ne kar diya batil
mujh ko daava tha parsai ka
karte hain ahl-e-asman charcha
mere nalon ki na-rasai ka
kaat daalo agar zaban pe mire
harf aaya ho ashnai ka
kar ke sadqe na chhod den ‘nassakh’
dil ko dhadka hai kyuun rihai ka
Leave a Reply