bata.en kya ki aa.e hain kahan se ham kahan ho kar
nishan ab DhunDte-phirte hain ghar ka be-nishan ho kar
lubhane ko dil-e-shaida ke saari parda-dari thi
ayaan ho tum nihan ho kar nihan ho tum ayaan ho kar
hamari ḳhaak ke zarre fana ho kar bhi chamkenge
uruuj apna dikha.en ge ye najm-e-asman ho kar
dil-e-avara kyuun tujh ko ḳhayal ku-e-janan hai
are nadan kahan ja kar rahega be-nishan ho kar
ye daur-e-mai-kashi har-vaqt mahv-e-did rakhta hai
kahan ankhon men ye ghaflat rahe ḳhvab-e-giran ho kar
musalman ho ke tark-e-but-parasti ai ma.az-allah
ḳhuda ko ham ne pahchana hai shaida-e-butan ho kar
ye bar-e-ma.asiyat manzil kaḌi aur sham-e-tanha.i
chale hain kya samajh kar ham bhi rusva-e-jahan ho kar
abhi kya jaane kya kya rang vo ai ‘shauq’ badlega
zamin par ik karega hashr barpa asman ho kar
Leave a Reply