vaise tu mere makan tak tu chala aata hai
phir achanak se tire zehn men kya aata hai
aahen bharta huun ki puchhe koi aahon ka sabab
phir tira zikr nikalta hai maza aata hai
tere ḳhat aaj latifon ki tarah lagte hain
ḳhuub hansta huun jahan lafz-e-vafa aata hai
jate-jate ye kaha us ne chalo aata huun
ab yahi dekhna hai jaata hai ya aata hai
tujh ko vaise to zamane ke hunar aate hain
pyaar aata hai kabhi tujh ko bata aata hai
Leave a Reply