basiraton ka nazar ehtiram karti hai
sama.aton se ḳhamoshi kalam karti hai
ḳhizan ka raaz jo ankhon pe munkashif ho jaa.e
to zard rut bhi baharon ka kaam karti hai
kahan ka zarf kahan ka vaqar ye duniya
nigah jeb pe rakh kar salam karti hai
zaruraten dar-e-shahi pe le ke jaati hain
miri ana mujhe apna ghulam karti hai
hisar-e-sud-o-ziyan se nikal de ya-rab
ye zindagi mira jiina haram karti hai
buland-o-past se parvaz mavara hai miri
ye ka.enat mujhe zer-e-dam karti hai
ḳhuda ka shukr ki main ḳhud se ashna huun ‘nadim’
miri nigah mira ehtiram karti hai
Leave a Reply