bas ik nigah-e-karam hai kaafi agar unhen pesh-o-pas nahin hai
zahe tamanna ki meri fitrat asir-e-hirs-o-havas nahin hai
nazar se sayyad duur ho ja yahan tira mujh pe bas nahin hai
chaman ko barbad karne vaale ye ashiyan hai qafas nahin hai
kisi ke jalve tadap rahe hain hudud-e-hosh-o-khirad se aage
hudud-e-hosh-o-khirad se aage nigah ki dastaras nahin hai
jahan ki nairangiyon se yaksar badal gai ashiyan ki surat
qafas samajhti hain jin ko nazren vo dar-haqiqat qafas nahin hai
kahan ke naale kahan ki aahen jami hain un ki taraf nigahen
kuchh is qadar mahv-e-yad huun main ki fursat-e-yak-nafas nahin hai
qusur hai ishrat-e-guzishta ka husn-e-tasir allah allah
vahi fazaen vahi havaen chaman se kuchh kam qafas nahin hai
kisi ki be-e’tinaiyon ne badal hi daala nizam-e-gulshan
jo baat pahle bahar men thi vo baat ab ke baras nahin hai
ye bu-e-sumbul ye khanda-e-gul aur aah ye dukh bhari sadaen
qafas ke andar chaman hai shayad chaman ke andar qafas nahin hai
na hosh-e-khalvat na fikr-e-mahfil ayaan ho ab kis pe halat-e-dil
main aap hi apna ham-nafas huun mira koi ham-nafas nahin hai
karen bhi kya shikva-e-zamana kahen bhi kya dard ka fasana
jahan men hain laakh dushman-e-jan koi masiha-nafas nahin hai
suni hain ahl-e-junun ne aksar khamoshi-e-marg ki sadaen
suna ye tha karvan-e-hasti rahin-e-bang-e-jaras nahin hai
chaman ki azadiyan moakhkhar tasavvur-e-ashiyan muqaddam
gham-e-asiri hai na-mukammal agar gham-e-khar-o-khas nahin hai
na kar mujhe sharmsar naseh main dil se majbur huun ki jis ka
hai yuun to kaun-o-makan pe qaabu magar mohabbat pe bas nahin hai
kahan vo ummid-e-amad-amad kahan ye ifa-e-ahd-e-farda
jab e’tibar-e-nazar na tha kuchh ab e’tibar-e-nafas nahin hai
vahi hain naghme vahi hain naale sun ai mujhe bhuul jaane vaale
tiri samaat se duur hain ye jabhi to nalon men ras nahin hai
‘shakil’ duniya men jis ko dekha kuchh us ki duniya hi aur dekhi
hazar naqqad-e-zindagi hain magar koi nukta-ras nahin hai
Leave a Reply