bas ik ḳhata ki musalsal saza abhi tak hai
mire ḳhilaf mira a.ina abhi tak hai
sabhi charagh andheron se mil ga.e lekin
harif-e-mauj-e-hava ik diya abhi tak hai
miTa sake na use hadson ke dariya bhi
vo ek naam jo dil par likha abhi tak hai
giri hai meri jo dastar gham hua lekin
ye shukr karta huun band-e-qaba abhi tak hai
nazar uTha ke kaha mai-kade men saaqi ne
vo kaun hai jo yahan parsa abhi tak hai
na jaane kaun se sadmon ka shor tha is men
guzar chuka vo idhar se sada abhi tak hai
Leave a Reply