barson hue tum kahin nahin ho
aaj aisa laga yahin kahin ho
mahsus hua ki baat ki hai
aur baat bhi vo jo dil-nashin ho
imkan hua ki vahm tha sab
izhar hua ki tum yaqin ho
andaza hua ki rah vahi hai
ummid badhi ki tum vahin ho
ab tak mire naam se hai nisbat
ab tak mire shahr ke makin ho
Leave a Reply