sitare chup hain ki naghma-sara samundar hai
shab-e-ḳhamosh ke dil ki sada samundar hai
sukut-e-lab ko sadaon ka pesh-rau samjho
ki rud-bar ke aage khula samundar hai
vo dekhta hai mire iztirab ko hans kar
main tez-rau huun vo Thahra hua samundar hai
mah-o-nujum dikhate hain aa.ina us ko
falak ke samne chehra-numa samundar hai
miTa chale hain masafat ka naqsh ahl-e-talab
hava saron men hai aur zer-e-pa samundar hai
nazar men surat-e-sahil abhi nahin aa.i
mire safar ka har ik marhala samundar hai
Leave a Reply