barq se ashiyan ka rishta hai
arsh se ḳhak-dan ka rishta hai
mere afsana-e-mohabbat se
aap ki dastan ka rishta hai
aj-kal ham junun-pasandon se
har na.e imtihan ka rishta hai
ahl-e-gulshan ki ḳhasta-hali se
sazish-e-baghban ka rishta hai
aap muḳhtar aur ham majbur
sochiye to kahan ka rishta hai
shaiḳh sahab ka hur-o-ghilman se
sirf vahm-o-guman ka rishta hai
un ka ‘aḳhtar’ se yuun ta.alluq hai
jis tarah jism-o-jan ka rishta hai
Leave a Reply