barham-kun-e-dil yuuñ kabhī barham na huā thā
hairat-asar aisā mirā aalam na huā thā
un shoḳh nigāhoñ ne taḌap aur baḌhā dī
allāh abhī dard-e-jigar kam na huā thā
ab bhī mujhe ḳhuddārī-e-jānāñ meñ nahīñ shak
pahle bhī mirā dil mutavahham na huā thā
ai pīr-e-muġhāñ us kī baqā meñ mujhe shak hai
vāqif asar-e-jām se kyā jam na huā thā
vo shoḳh mujhe dekh ke yuuñ sharm se jhuk jaa.e
jis kā sar-e-maġhrūr kabhī ḳham na huā thā
is kam-nigahī ne to mujhe maar hī Daalā
aisā asar ai pursish-e-paiham na huā thā
mash.hūr vo ‘manzūr’ hai jis ke liye kal tak
sarmā-e-shohrat hī farāham na huā thā