Barha Dil toDna Achchha Nahin

bārhā dil toḌnā achchhā nahīñ

maan jaao rūThnā achchhā nahīñ

zindagī har moḌ par ġham de chukī

ab tirā muñh phernā achchhā nahīñ

haath ko hāthoñ meñ lenā Thiik par

chūḌiyoñ ko toḌnā achchhā nahīñ

ġhair se milnā gavārā hai tumheñ

bas hamārā sāmnā achchhā nahīñ

ishq ko sanjīdgī se lo miyāñ

ishq meñ ye bachpanā achchhā nahīñ

jītnā mushkil hai lekin hijr se

yuuñ musalsal hārnā achchhā nahīñ

Leave a Comment