• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shaikh-E-Haram Us But Ka Parastar Hua Hai

Shaikh-E-Haram Us But Ka Parastar Hua Hai

poet

shaikh-e-haram us but ka parastar hua hai

but-khana-nashin bandh ke zunnar hua hai

har harf pe do aansu tapak padte hain ai vaae

khat yaar ko likhna hamen dushvar hua hai

kotah na samajh ah-e-zaifan ko ye tiir

sau baar dil-e-arsh se bhi paar hua hai

ai said-fagan gham se tire duuri ki mera

har zakhm-e-dil ik dida-e-khun-bar hua hai

hasti tiri parda hai utha de ise ghafil

kyuun aisa hijab-e-rukh-e-dildar hua hai

aage tire thi garm-e-sukhan hone ki hasrat

so bharna dam-e-sard bhi dushvar hua hai

kar qadr tu ‘rasikh’ ki ki is tarah ka azad

yuun daam men aa tere giraftar hua hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

adil-mansuri

Sans Ki Aanch Zara Tez Karo

ahmad-ameer-pasha

Waqt Se Aage Nikalna Chahiye

Ek Tamanna Mein Giraftar the Hum Bhi Tum Bhi

Ruswa-E-Ishq Mein Tera Shaida Kahen Jise

abdul-hamid-adam

Ja Raha Tha Haram Ko Main Lekin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet