bahut dhoka kiya ḳhud ko magar kya kar liya main ne
tamasha mujh ko karna tha tamasha kar liya main ne
yahan bhi ab na.i abadiyon ka shor sunta huun
yahan se bhi nikalne ka irada kar liya main ne
safar men dhuup ki shiddat kahan tak jhelta aḳhir
tiri yadon ko oḌha aur saaya kar liya main ne
koi achchha nahin sab log ik jaise hain basti men
natija ye hua ḳhud ko akela kar liya main ne
koi mausam ho kaisi hi faza ho gham nahin hota
zamane vaala har ik rang paida kar liya main ne
ye duniya apne Dhab ki thi na duniya vaale achchhe the
magar kya kijiye phir bhi guzara kar liya main ne
Leave a Reply