bargashta-talai ka tamasha dikhaun main
ghar ko lage jo aag to paani bujhaun main
jins-e-giran-baha ka kharidar kaun hai
yakta nahin ilahi jo chori hi jaun main
lala-rukhon ke husn ka bhuka huun is qadar
dil ho na sair laakh agar daagh khaun main
ankhen miri kare jo munavvar jamal-e-yar
ghē ke charagh tuur ke uupar jalaun main
murde ki tarah sote hain kaise mire nasib
thokar se pa-e-yar ke un ko jagaun main
bosa mile kaman ka jo abru-e-yar ki
mehrab-e-bait-e-kaaba men chilla chadhaun main
ji chahta hai shauq-e-shahadat men qabl-e-marg
banva ke qabr-e-lala ko us par lagaun main
ghar men jo mujh faqir ke vo shah-e-husn aae
mizhgan ke boriye jo khade hain bichhaun main
kanta sukha ke hijr ne har-chand kar diya
vo gul-badan mile to na phula samaun main
tum to gharib-khane men aae na ek roz
farmaiye to shab ko kisi vaqt aauun main
barik-bin huun shaer-e-nazuk-khayal huun
mazmun jahan kamar ka mile bandh laun main
‘atish’ ghulam-e-saqi-e-kausar huun chahiye
firdaus ka khula hua darvaza paun main
Leave a Reply