barbadiyon pe meri kisi ki nazar na ho
dil chahta ye hai ki tumhen bhi ḳhabar na ho
varaftagan-e-husn se achchha nahin hijab
barq-e-jamal-e-yar harif-e-nazar na ho
ye be-ḳhudi-e-ishq ye ehsas-e-hijr-e-yar
har sub.h aftab to nikle sahar na ho
meri nazar ne husn ko dilkash bana diya
kya jaane husn kya ho jo meri nazar na ho
rukte hain paanv jada-e-kohna ko dekh kar
apni to raah vo hai jidhar rahguzar na ho
sair-e-chaman ke vaste ankhen bhi chahiyen
ye husn ye bahar fareb-e-nazar na ho
hone ko hai tulua mira mahr-e-nim-shab
vo raat kya ‘bashir’ jo ḳhud hi sahar na ho
Leave a Reply