• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chal paDe to Phir Apni Dhun Mein Be-KHabar Barson

Chal paDe to Phir Apni Dhun Mein Be-KHabar Barson

chal paḌe to phir apni dhun men be-ḳhabar barson

lauT kar nahin dekha ham ne apna ghar barson

jada-e-havadis men chal ke dekh le koi

kaise tai kiya ham ne maut ka safar barson

barg-o-bar par us ke haq nahin hamara hi

apne ḳhuun se sincha ham ne jo shajar barson

jo sadaf samundar ki tah men chhan sakte the

DhunDte rahe vo bhi ret men guhar barson

dosto zarurat par kaam aa gaya apne

dushmanon se sikha tha ham ne jo hunar barson

jab mile rafiqon se zaḳhm hi mile ham ko

be-sabab raha dil men dushmanon ka Dar barson

vo bhi kya ajab din the shauq-e-rah-navardi men

ham ne bhi zamane ki sair ki ‘zafar’ barson

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Naghmagi Se Sukut Behtar Tha

Sultan Baho

Talib Banake Talib Howen Os Nun Paya Gawen Hu

poet

Is Daur-E-Gham Mein shoKH Tabiat Kahan Se Laen

ahmad-rahi

Main dil-Zada Hun Agar dil-Figar Wo Bhi Hain

Pure Qad Se Main khaDa Hun Samne Aaega Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet