bar-ha dil ko main samjha ke kaha kya kya kuchh
na suna aur khoya mujh se mira kya kya kuchh
izzat-o-abru o hurmat o diin o iman
rouun kis kis ko main yaaro ki gaya kya kya kuchh
sabr o aram kahun ya ki main ab hosh-o-havas
ho gaya us ki judai men juda kya kya kuchh
ishq kis zaat ka aqrab hai ki lagte hi niish
dil ke saath ankhon se paani ho baha kya kya kuchh
sada-rui ne to khoya dil o diin se dekhen
khat ke aane men hai qismat ka likha kya kya kuchh
dakhl kya rah-e-mohabbat men niko-nami ko
aaya is kuche men jo un ne suna kya kya kuchh
valih-o-shefta o zar-o-hazin o majnun
apne ashiq ko kal us ne na kaha kya kya kuchh
girya-e-shisha kabhi tha to kabhi khanda-e-jam
saaqi is daur men tere na hua kya kya kuchh
ghurra mat ho jo zamane se tiri ban aai
tha vo kya kya ki na bigda na bana kya kya kuchh
shadi aane ki na kar yaar na jaane ka gham
aaya kya kya na kuchh is ja na gaya kya kya kuchh
siina qanun o ghina naala o dil hai mizrab
nikle hai saz-e-mohabbat se sada kya kya kuchh
dosto haq men taraqqi o tanazzul apne
kya kahen ham ko zamane se hua kya kya kuchh
zoaf o na-taqati o susti o aaza-shikani
ek ghante men javani ke badha kya kya kuchh
sair ki qudarat-e-khaliq ki butan men ‘sauda’
musht bhar khaak men jalva hai bhala kya kya kuchh
Leave a Reply