tuk hirs-o-hava ko chhod miyan mat des bides phire maara
qazzaq ajal ka luute hai din raat baja kar naqqara
kya badhiya bhainsa bail shutur kya gu men palla sar-bhara
kya gehun chanval moth matar kya aag dhuan aur angara
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
gar to hai lakkhi banjara aur khep bhi teri bhari hai
ai ghafil tujh se bhi chadhta ik aur bada biyopari hai
kya shakkar misri qand gari kya sanbhar mitha khari hai
kya daakh munaqqa sonth mirach kya kisar laung supari hai
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
tu badhiya laade bail bhare jo purab pachchham javega
ya suud badha kar lavega ya tuuta ghata pavega
qazzaq ajal ka raste men jab bhala maar giravega
dhan daulat naati pota kya ik kumba kaam na avega
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
har manzil men ab saath tire ye jitna dera-danda hai
zar dam-diram ka bhanda hai banduq sipar aur khanda hai
jab nayak tan ka nikal gaya jo mulkon mulkon handa hai
phir handa hai na bhanda hai na halva hai na manda hai
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
jab chalte chalte raste men ye gaun tiri rah javegi
ik badhiya teri mitti par phir ghaas na charne avegi
ye khep jo tu ne laadi hai sab hisson men bat javegi
dhi puut janvai beta kya banjaran paas na avegi
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
ye khep bhare jo jaata hai ye khep miyan mat gin apni
ab koi ghadi pal saaat men ye khep badan ki hai kafani
kya thaal katori chandi ki kya pital ki dibya-dhakni
kya bartan sone chandi ke kya mitti ki handiya chini
sab thath pada rah javega jab laad chale ga banjara
ye dhum-dhadkka saath liye kyuun phirta hai jangal jangal
ik tinka saath na javega mauquf hua jab ann aur jal
ghar-bar atari chaupari kya khasa nain-sukh aur malmal
chalvan parde farsh nae kya laal palang aur rang-mahal
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
kuchh kaam na avega tere ye lal-o-zamurrad sim-o-zar
jab punji baat men bikhregi har aan banegi jaan uupar
naubat naqqare baan nishan daulat hashmat faujen lashkar
kya masnad takiya mulk makan kya chauki kursi takht chhatar
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
kyuun ji par bojh uthata hai in gaunon bhari bhari ke
jab maut ka dera aan pada phir duune hain bayopari ke
kya saaz jadau zar-zevar kya gote thaan kanari ke
kya ghode ziin sunahri ke kya hathi laal amari ke
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
mafrur na ho talvaron par mat phuul bharose dhalon ke
sab patta tod ke bhagenge munh dekh ajal ke bhalon ke
kya dabbe moti hiron ke kya dher khazane malon ke
kya bughche taash moshajjar ke kya takhte shaal doshalon ke
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
kya sakht makan banvata hai kham tere tan ka hai pola
tu unche coat uthata hai vaan gor gadhe ne munh khola
kya reni khandaq rand bade kya brij kangora anmola
gadh coat rahkalla top qila kya shisha daaru aur gola
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
har aan nafa aur tote men kyuun marta phirta hai ban ban
tak ghafil dil men soch zara hai saath laga tere dushman
kya laundi bandi daai dava kya banda chela nek-chalan
kya mandar masjid taal kuaan kya kheti baadi phuul chaman
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
jab marg phira kar chabuk ko ye bail badan ka hankega
koi naaj sametega tera koi gaun siye aur tankega
ho dher akela jangal men tu khaak lahad ki phankega
us jangal men phir aah ‘nazir’ ik tinka aan na jhankega
sab thath pada rah javega jab laad chalega banjara
Leave a Reply