dard-o-gham ka bayan nahin ma.alum
pyaar ki dastan nahin ma.alum
raah men ham akele baiThe hain
kab gaya karvan nahin ma.alum
hashr-saman hain aaj ke halat
honge kal ham kahan nahin ma.alum
ehtiraman hain log jaur pe chup
kab khulegi zaban nahin ma.alum
dil zamane se ham laga baiThe
us ka sud-o-ziyan nahin malum
hai dhuan chimniyon ka shahr men ya
jal rahe hain makan nahin ma.alum
dard banTenge kya vo duniya ke
jin ko dard-e-nihan nahin ma.alum
zaḳhm hi is zamin ne baḳhshe hain
dega kya asman nahin ma.alum
suuli par ham ko jab chaḌha.enge
hoga kaisa saman nahin ma.alum
aish-o-ishrat ke ḳhugaro tum ko
soz-e-dard-e-nihan nahin malum
qatil-e-shahr hain vahi ye raaz
hoga kyunkar ayaan nahin ma.alum
dekhte hain vo kahkashan har shab
kya hai ashk-e-ravan nahin ma.alum
kis ne ponchhe hain ashk mere dost
kaun tha mehrban nahin malum
ghar se tanha chale the ham ‘shaghil’
kyuun bana karvan nahin ma.alum
Leave a Reply