bana hai dushman-e-gul jab se baghban apna
bhari bahar men jalta hai ashiyan apna
agar ho izn to ai mir-e-karvan puchhun
chala hai kaun si manzil ko karvan apna
ab is gali men mira koi ham-jalis nahin
qadam qadam pe jahan kal tha raz-dan apna
jahaz apne harifon ke be-shumar sahi
karo na fikr ki dariya hai be-karan apna
zamin ke fitnon se ham kis liye Daren ‘betab’
ki asman hai har lamha pasban apna
Leave a Reply