sanjida tabi.at ki kahani nahin samjhe
ankho men rahe aur vo paani nahin samjhe
ek sher hua yuun ki kaleje se laga hai
dariya men utar kar bhi ravani nahin samjhe
kya ḳhat men likha jaa.e ki samjha.e unhen ham
jo samne rah kar bhi zabani nahin samjhe
bachpan ko luTaya hai javani ke liye yaar
ham log javani ko javani nahin samjhe
pahle to kaha ‘rav’ koi sher sunao
phir dost miri baat ke ma.ani nahin samjhe
Leave a Reply