ahl-e-duniya naya naya huun main
ma.azarat ḳhvab dekhta huun main
hai parindon se ḳhamushi darkar
peḌ se baat kar raha huun main
us ki tasvir hai ghaḌi ke paas
har ghaḌi vaqt dekhta huun main
ḳhud se karta huun mashvara lekin
baat auron ki manta huun main
is qadar tirgi ka qaa.il huun
dhuup ko dhuup kah raha huun main
vaqi.a huun azal se pahle ka
kun se pahle uThi sada huun main
mujh ko chup-zat samjha jaata hai
is qadar tez chiḳhta huun main
Leave a Reply