• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bais-E-Asudgi Hai Hashr-Samani Mujhe

Bais-E-Asudgi Hai Hashr-Samani Mujhe

ba.is-e-asudgi hai hashr-samani mujhe

raas aati hai baḌi mushkil se asani mujhe

dekh kar teri inayat aur tira lutf-o-karam

khal rahi hai yaar apni tang-damani mujhe

kar raha hai zehn men gardish koi dhundla sa aks

lag rahi hai us ki surat jaani pahchani mujhe

sochne ka zaviya main ne badal Daala hai dost

ab pareshani nahin lagti pareshani mujhe

saunp di us ne mujhe apne badan ki saltanat

mil ga.i ho muflisi men jaise sultani mujhe

luqma-e-girdab hone hi ko tha main aur phir

daf.atan aa.i nazar ik mauj-e-imkani mujhe

aaj phir khulne lagi hai mujh pe ramz-e-ka.enat

aaj phir hone lagi hai ḳhud pe hairani mujhe

sochta huun uula misra jab kabhi ‘nayab’ main

ḳhud ko likhvata hai baḌh kar misra-e-sani mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

adeem-hashmi

Rakht-e-Safar Yunhi To Na Bekar Le Chalo

Ek Ajab Hi Silsila Tha Main Na Tha

poet

Dars Deta Hai Shakebai Ka

Dard Nisbatan Kam Hai Aaj Dil Ke Chhaalon Mein

Samay Se Pahle Bhale Sham-E-Zindagi Aae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet