bahut aziiz tha aalam vo dil-figari ka
sukun ne chhin liya lutf be-qarari ka
hamen bhi khu thi zamanon se dil jalane ki
unhen bhi shauq purana tha shola-bari ka
dilon men un ke raha iztirab roz-o-shab
vo jin ke sar pe raha bojh taj-dari ka
vo jaate jaate mujhe apne gham bhi saunp gaya
ajiib dhang nikala hai gham-gusari ka
kaha tha tum se ai ‘azim’ sambhal sambhal ke chalo
bharam na rakkha magar tum ne parda-dari ka