bahs kyuun hai kafir-o-din-dar ki
sab hai qudrat davar-e-davvar ki
ham saf-e-”qalu-bala” men kya na the
kuchh nai khvahish nahin didar ki
dhundh kar dil men nikala tujh ko yaar
tu ne ab mehnat miri be-kar ki
shakl-e-gul men jalva karte ho kabhi
gaah surat bulbul-e-gulzar ki
aap aate ho kabhi subha-ba-kaf
karte ho khvahish kabhi zunnar ki
lan-tarani aap ki muusa se thi
har jagah hajat nahin inkar ki
khaas hain maqtul-e-shamshir-e-jafa
kuchh to lazzat hai tiri talvar ki
dair-o-kaaba men kalisa men phire
har jagah ham ne talash-e-yar ki
sab ki hai taqdir tere haath men
kya shikayat muslim o kuffar ki
ham men jauhar the ibadat khaas ke
kar diya insan ye mitti khvar ki
mahr-o-mah ko umr bhar dekha kiye
thi tamanna ru-e-pur-anvar ki
aur ai ‘bahram’ ik likkho ghazal
aap ko qillat nahin ashar ki
Leave a Reply