bahar to kar raha huun main ara.ishen bahut
andar hain par makan ke ala.ishen bahut
tu hai ki tere saath hain asa.ishen bahut
main huun ki mere saath marin ḳhvahishen bahut
naqsh-o-nigar kya yahan divar-o-dar nahin
shayad ki is makan pe rahen barishen bahut
ham the ki apni zaat ke jangal men gum rahe
thiin arsa-e-hayat men gunja.ishen bahut
apna vajud raah ka patthar samajh ke main
apne ḳhilaf karta raha sazishen bahut
kuchh ghar chamak uThe to ka.i ghar jhulas ga.e
rusva hain aftab tiri tabishen bahut
har lamha ik nashat hai zahir ka mel-jol
gahre hon rasm-o-rah to phir ranjishen bahut
apna bhi le tu gaanv ki saada si zindagi
‘shahid’ abas hain shahr men zeba.ishen bahut
Leave a Reply