ḳhuda kare ki ye miTTi bikhar bhi jaa.e ab
chaḌha hua hai jo dariya utar bhi jaa.e ab
ye roz roz ka milna bichhaḌna khalta hai
vo meri ruuh ke andar utar bhi jaa.e ab
vahan vo phuul sa chehra hai muntazar us ka
kaho ye sha.ir-e-avara ghar bhi jaa.e ab
main apne-ap ko kab tak yunhi sameTe phirun
chale vo andhi ki sab kuchh bikhar bhi jaa.e ab
usi ki vaj.h se saare vabal hain ‘faruq’
badan ka qarz ada ho ye sar bhi jaa.e ab
Leave a Reply