baharon se ḳhizan tak yunhi sair-e-gulistan kar ke
rafu karte rahe ham jeb-o-dastan dhajjiyan kar ke
milega kya tujhe sayyad mujh ko be-zaban kar ke
sukun-e-qalb milta hai mujhe ah-o-fughan kar ke
chaman ko raushni di nazr-e-atish ashiyan kar ke
kiya ye tajraba ham ne ghar apna raegan kar ke
haqiqat men karam tum ne kiya hai haq-shanason par
har ik ko vaqif-e-rasm-e-jabin-o-astan kar ke
uTha paae na ham lutf-e-baharan mausam-e-gul men
kahan gum ho gai parvaz qaid-e-ashiyan kar ke
ab aisi zindagi se maut aa jaati to behtar tha
hui taz.hik apni dastan-e-dil bayan kar ke
agar tafsil se kahta to vo shayad samajh jaate
main ab pachhta raha huun iḳhtisar-e-dastan kar ke
bhaTakte rahte yunhi aur na paate umr-bhar manzil
baḌa ehsan kiya tum ne sharik-e-karvan kar ke
samajh men aa gai un ki ḳhas-o-ḳhashak ki azmat
gai hain bijliyan aḳhir tavaf-e-ashiyan kar ke
zahe mashq-e-tasavvur ham unhen dekha hi karte hain
chhupen chahe jahan vo parda-ha-e-darmiyan kar ke
samundar phir hilore lega tahzib-o-tamaddun ka
zara dekho to ‘ajiz’ shamil-e-urdu-zaban kar ke
Leave a Reply