partav-e-saghar-e-sahba kya tha
raat ik hashr sa barpa kya tha
kyuun javani ki mujhe yaad aa.i
main ne ik ḳhvab sa dekha kya tha
husn ki aankh bhi namnak hui
ishq ko aap ne samjha kya tha
ishq ne aankh jhuka li varna
husn aur husn ka parda kya tha
kyuun ‘majaz’ aap ne saghar toḌa
aaj ye shahr men charcha kya tha
Leave a Reply