• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Ka Rog to Wirse Mein Mila Tha Mujhko

Ishq Ka Rog to Wirse Mein Mila Tha Mujhko

ishq ka rog to virse men mila tha mujh ko

dil dhaḌakta hua siine men mila tha mujh ko

haan ye kafir usi hujre men mila tha mujh ko

ek momin jahan sajde men mila tha mujh ko

us ko bhi meri tarah apni vafa par tha yaqin

vo bhi shayad isi dhoke men mila tha mujh ko

us ne hi bazm ke adab sikha.e the mujhe

vo jo ik shaḳhs akele men mila tha mujh ko

manzil-e-hosh pe ik main hi nahin tha tanha

yaan to har shaḳhs hi nashshe men mila tha mujh ko

ye bhi ik aib tha meri hi nazar ka shayad

roz kuchh farq sa chehre men mila tha mujh ko

aise halat men kya us se gila karta main

raat suraj bhi andhere men mila tha mujh ko

main agar Duub na jaata to vahan kya karta

ik samundar tha jo qatre men mila tha mujh ko

ruuh ki pyaas bujhana koi asan na tha

saaf paani baḌe gahre men mila tha mujh ko

sach to ye hai ki yahan koi bhi manzil hi na thi

vo bhi rasta tha jo raste men mila tha mujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Rakhta Hun Main Haq Par Nazar Koi Kuchh Kaho Koi Kuchh Kaho

Ye Kam Nahin Ke Wahi Sham Ka Sitara Hai

poet

Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-War Na Tha

Gareban Ko Junun Mein Ta-Ba-Daman Chaak Hona Tha

varsha-gorchhia

24-Wan Sal

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet