gila nahin ki muḳhalif mira zamana hua
main ḳhud hi chhoḌ ke kar-e-jahan ravana hua
main ab chala ki mira qafila ravana hua
kabhi phir a.unga vapas jo ab-o-dana hua
main bil-mushafa nahin janta kisi ko yahan
ki mujh se mera ta.aruf bhi gha.ebana hua
hava-e-gul bhi na pairon ki ban saki zanjir
bahar men bhi na ab ke koi divana hua
jo reg zer-e-qadam aa.i ban ga.i sabza
ghubar sar pe jo aaya to shamiyana hua
kisi ko nok-e-sinan bhi zamir ki na chubhi
kisi ko ek ishara hi taziyana hua
zamana khinch ke na kyuun us ke paas ja.ega
vo ali-jah hua sahib-e-ḳhazana hua
baras rahi hai miri chashm-e-nam to barson se
tahi na abr-e-guhar-bar ka ḳhazana hua
nazar men sab ka ye manzar sameT lo ‘mohsin’
sahar qarib hai ab ḳhatm ye fasana hua
Leave a Reply