aks the avaz thi lekin koi chehra na tha
nachte gaate qadam the aur koi pahra na tha
hadson ki maar se TuuTe magar zinda rahe
zindagi jo zaḳhm bhi tu ne diya gahra na tha
ḳhvab ki manind guzrin kaisi kaisi suraten
dil ke virane men koi aks bhi Thahra na tha
aag ki barish hui manzar jhulas kar rah ga.e
shaam ke saa.e men koi gunjta lahra na tha
Leave a Reply