bah raha tha ek dariya ḳhvab men
rah gaya main phir bhi tishna ḳhvab men
ji raha huun aur duniya men magar
dekhta huun aur duniya ḳhvab men
is zamin par tu nazar aata nahin
bas gaya hai jo sarapa ḳhvab men
roz aata hai mira gham banTne
asman se ik sitara ḳhvab men
muddaton se dil hai us ka muntazir
koi va.ada kar gaya tha ḳhvab men
kya yaqin aa ja.ega us shaḳhs ko
us ki babat jo bhi dekha ḳhvab men
ek basti hai jahan ḳhush hain sabhi
dekh leta huun main kya kya ḳhvab men
asl duniya men tamashe kam hain kya
kyuun nazar aa.e tamasha ḳhvab men
khol kar ankhen pasheman huun bahut
kho gaya jo kuchh mila tha ḳhvab men
kya hua hai mujh ko ‘alam’ in dinon
main ghazal kahta nahin tha ḳhvab men
Leave a Reply