shararat hai manane ki ya manvane ka jhagḌa hai
hain donon suraten qatil qayamat jaisa jhagḌa hai
tasavvur men tira chehra zehn men baat hai teri
ye duuri kaisi duuri hai ye jhagḌa kaisa jhagḌa hai
manana bhi nahin asan samajh jaana bhi hai mushkil
zara sa vaqt do mujh ko ye ḳhud se pahla jhagḌa hai
kahin par phuul khilte hain kahin par sher hote hain
magar jo sab se a.ala hai vo tera mera jhagḌa hai
ahd ki baat mat chheḌo vafa ka zikr rahne do
usi se bad-gumani hai usi ka saara jhagḌa hai
vazifa paḌh liya main ne ki vo ḳhamoshiyan TuTen
ḳhuda to phir ḳhuda hai aur ḳhuda se kaisa jhagḌa hai
na tha ilzam us ke sar na thi meri ḳhata koi
ye uktahaT ki duuri hai ye be-vaj.h ka jhagḌa hai
Leave a Reply