baghair dil ki ye qimat hai saare aalam ki
kaso se kaam nahin rakhti jins aadam ki
koi ho mahram shokhi tira to men puchhun
ki bazm-e-aish jahan kya samajh ke barham ki
hamen to baagh ki taklif se muaaf rakho
ki sair-o-gasht nahin rasm ahl-e-matam ki
tanik to lutf se kuchh kah ki jan-ba-lab huun main
rahi hai baat miri jaan ab koi dam ki
guzarne ko to kaj-o-vakaj apni guzre hai
jafa jo un ne bahut ki to kuchh vafa kam ki
ghire hain dard-o-alam men firaq ke aise
ki subh-e-id bhi yaan shaam hai mahram ki
qafas men ‘mir’ nahin josh daagh siine par
havas nikali hai ham ne bhi gul ke mausam ki
Leave a Reply