baagh men kaliyon ka muskana gaya
phuul par titli ka manDlana gaya
be-hunar hona bhi goya hai hunar
raaz ye taḳhir se jaana gaya
mere dil men bhi tapan hain valvale
kyuun mujhe be aarzu maana gaya
band-e-gham se ham riha na ho sake
ra.egan sab sab ka samjhana gaya
haath malta rah gaya shauq-e-junun
toḌ kar zanjir-e-dil daana gaya
ho chuki pamal qadr-e-bandagi
jab ise kar-e-ziyan jaana gaya
agahi ki mushkilen naguftani
kyuun tujhe had se siva jaana gaya
kitne chehre rakhta hai vo ek shaḳhs
kab ‘sahar’ tum se vo pahchana gaya
Leave a Reply