nazar ki vusaton men kul jahan tha
zamin se duur kitna asman tha
miri kashti bhanvar men duub jaati
hava ki mad pe lekin badban tha
main us ki harf-giri kar na paaya
vo meri zindagi ka razdan tha
tujhe pa kar tujhe khoya hai ham ne
yahi to zindagi ka imtihan tha
vahi gum ho gaya raste men shayad
jo rahbar tha jo mir-e-karvan tha
Leave a Reply