baḌi hairat se arbab-e-vafa ko dekhta huun main
ḳhata ko dekhta huun aur saza ko dekhta huun main
abhi kuchh der hai shayad mire mayus hone men
abhi kuchh din fareb-e-rahnuma ko dekhta huun main
ḳhuda malum dil ko justuju hai kin jaziron ki
na jaane kin sitaron ki ziya ko dekhta huun main
ye kya gham hai mire ash.ar ko nam kar diya kis ne
ye dil men kis samundar ki ghaTa ko dekhta huun main
‘zamir’ ik qaid-e-na-mahsus ko mahsus karta huun
kisi nadani-e-zanjir-e-pa ko dekhta huun main
Leave a Reply