baḌha jo haath to divar biich men aa.i
uThi nigah to minar biich men aa.i
safar sabhi ka muayyan hai ek hi dar tak
to kis sabab se ye raftar biich men aa.i
hisar-e-farq kabhi ka simaT gaya hota
kabhi ana kabhi dastar biich men aa.i
samajhna sochna sunna jahan nahin mumkin
kahan se ishq men guftar biich men aa.i
dar-e-bahisht raha do qadam ki lauT aaya
vatan ki surat-e-lachar biich men aa.i
Leave a Reply