• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye dil Wo Hai Ki Ghamon Se Jise Faragh Nahin

Ye dil Wo Hai Ki Ghamon Se Jise Faragh Nahin

poet

ye dil vo hai ki ghamon se jise faragh nahin

misal laala se kya duun kuchh ek daagh nahin

gali men teri hi dil bar se gir pada dilbar

main dhundun aur kahan ja kahin suragh nahin

hai dagh-e-ishq se raushan aur ah-e-sard se sard

hamare dil ka to khas-khana be-charagh nahin

pada jahan tira naqsh-e-qadam mire gul-ru

vo gul-zamin hai kahan jo ki bagh-bagh nahin

ai mere ghuncha-dahan mere nargis-e-makhmur

tire tamashe ka mushtaq kaun baagh nahin

hai kaun ghuncha surahi bana na tere huzur

hai kaun phuul jo mai ka tire ayagh nahin

kahan ka sher kahan ki ghazal kahan ki bait

karun jo fikr bhi ab vo dil-o-dimagh nahin

na ‘azfari’ se karo nazm o nasr ka mazkur

na ji kuchh in dinon apna dimagh chagh nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Abr uTTha to Subu Yaad Aaya

Humne Zahir Kiya suKHan Mein Bahut

Ye Jo Ishq-E-Masnad Ke Log Hain Unhen Ramz Sare Sikha Piya

thoDa Sa Muskura Ke Nigahen Milaiye

Bala Nai Koi Palun Agar Ijazat Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet