
Syed Anjum Jafri
baḌh gaya gar mira israr to phir kya hoga
kar diya aap ne inkar to phir kya hoga
paḌ gaya sard ye bazar to phir kya hoga
na raha main bhi ḳharidar to phir kya hoga
log kahte hain ki main tark-e-ta.alluq kar luun
na gaya tab bhi ye azar to phir kya hoga
main jo bil-farz sar-e-tur chala bhi aa.uun
na hua aap ka didar to phir kya hoga
ishq ki raah pe tum chal to diye ho ‘anjum’
na hua rasta hamvar to phir kya hoga

Leave a Reply