baḌe shabab pe dard-e-firaq-e-masti hai
na ho sharab to pahron ghaTa barasti hai
na sham.a roti hai aa kar na barq hansti hai
main jab se qabr men huun bekasi barasti hai
sune to kaun sune mai-kade men vaa.iz ki
yahan vahi hain jinhen shaghl-e-mai-parasti hai
main saḳht-jan nahin ḳhanjar bhi tez hai lekin
nigah-e-yas hai qatil ki tez-dasti hai
bhare huon ko bhara karte hain karam vaale
jahan hai sabza ghaTa bhi vahin barasti hai
ghalat hai zer-e-nagin ho ke da.ava-e-vus.at
bas ek halqa-e-ḳhatam faza-e-hasti hai
hazar ḳhvahish-e-dil hai magar na mangunga
subu-e-mai-kada par vaqt-e-tang-dasti hai
main sun ke aaya tha abadi-e-adam lekin
koi nazar nahin aata ye kaisi basti hai
chaman na dekh nasheman ko dekh ai bulbul
bahar hi men kabhi aag bhi barasti hai
jala.un sham.a to aḳhir jala ke dekhun kya
har ek raat yahan shaghl-e-gham-parasti hai
nahin hai dahr men yaar ai dam-zadan ‘saqib’
bas ek saans men tai majra-e-hasti hai
Leave a Reply