kis qadar ruuh pasheman hai tumhen kya ma.alum
kab kahan kaun pareshan hai tumhen kya ma.alum
mere afkar pe ehsas ka sahra haavi
aur taḳhayyul men gulistan hai tumhen kya ma.alum
un ke mahaul pe raqsan hain baharen naghme
mera har giit gham-e-jan hai tumhen kya ma.alum
raat bechain hai ankhon men simaTne ke liye
tirgi ziist ka unvan hai tumhen kya ma.alum
kal jo tha sang-e-giran shahr-e-vafa men ‘manzar’
aaj vo la.al-e-badaḳhshan hai tumhen kya ma.alum
Leave a Reply