
Khalid Malik Sahil
baḌe jatan se baḌe soch se utara gaya
mira sitara sar-e-ḳhak bhi sanvara gaya
miri vafa ne junun ka hisab dena tha
so aaj mujh ko bayaban se pukara gaya
bas ek ḳhauf tha zinda tiri juda.i ka
mira vo aḳhiri dushman bhi aaj maara gaya
mujhe yaqin tha is tajrabe se pahle bhi
suna hai ghair se jalva nahin sahara gaya
saja diya hai tasavvur ne dhuup ka manzar
agarche barf ki tasvir se guzara gaya
mila hai ḳhaak se nisbat ka phir sila mujh ko
mira hi naam hai gardun se jo pukara gaya
main dekhta raha duniya ko duur se ‘sahil’
mire makan se aage talak kinara gaya

Leave a Reply