badan ke gumbad-e-ḳhasta ko saaf kya karta
tire jahan men na.e inkishaf kya karta
adam ke unghte paani men jab thi meri lahr
mire vajud se main iḳhtilaf kya karta
na koi shor tha is men na koi sannaTa
main apne ruuh ke gunge tavaf kya karta
ki ik davam ke tevar the murta.ish is par
safar ki gard se main inhiraf kya karta
ka.i yugon ki shafaq men taḌap chuka hai ‘riyaz’
lahu ab apne junun ko muaaf kya karta
Leave a Reply