apne ko aghaz ko anjam men paaya ham ne
raaz kya parda-e-ib.ham men paaya ham ne
kho gaya tha jo kabhi bhiiḌ men chehron ki use
apni tanha.i ki har shaam men paaya ham ne
ret bharte rahe ankhon men sarabon ki sada
uzr jiine ka usi kaam men paaya ham ne
kitne shirin lab-e-na-gufta magar the us ke
lutf kuchh aur hi dushnam men paaya ham ne
tum to DhunDa kiye ummid-o-yaqin men us ko
dil ki har ḳhvahish-e-nakam men paaya ham ne
Leave a Reply